Yoon Na Aya Ghazi Noha | Ayaz Hussain Zaidi 2022 | Jab Rida Sar Se Chini Noha 2022 | New Noha 2022

Azadari Chitora
Azadari Chitora
Yoon Na Aya Ghazi Noha | Ayaz Hussain Zaidi 2022 | Jab Rida Sar Se Chini Noha 2022 | New Noha 2022 | Jab Rida Sar Se Chini Tu Sa ...
Yoon Na Aya Ghazi Noha | Ayaz Hussain Zaidi 2022 | Jab Rida Sar Se Chini Noha 2022 | New Noha 2022 | Jab Rida Sar Se Chini Tu Sada Deti Rahi Yoon Na Aya Ghazi

#nohay2022 #newnoha #tunaayaghazi #ayazhussainzaidi #muharram2022 #yoonnaayaghazi

Title -  Jab Rida Sar Se Chini Tu Sada Deti Rahi Yoon Na Aya Ghazi
Recited -  Zakir-E-Hussain (a.s.) SYED AYAZ HUSSAIN ZAIDI
Comosition - RAZA SHAH
Poet - DR. REHAN AAZMI SHB.
English Translation - BURAIR ABBAS
Audio - LAWA STUDIO
DOP - ZAHID ALI
Edit By - AZMAT HYDER
Video -  @Azadari Chitora  

Lyrics:-

Jab Rida ser se chini-Tu sada deti rahi-Yun na aaya ghazi
Tere hatho Mai rasan - dekhta kaise behen
Bhai bekas tha tera-Yun na aaya bibi

1. Ye tumeh bhi thi khabar
dukhtare khairul bashar
Mai utha sakta na tha
hukme Shabbir pe ser
Mere bazu the juda
Masha se Pani baha
Aa gyi mujhko gaya
yun na aaya ghazi

2. Sunke Mai Teri sada
ye to mumkin hi na tha
Mai na aata kaise
Dukhtare shere Khuda
Berida dekhu tujhe
Kab tha Manzoor mujhe
hosla mujhme na tha
yun na aaya ghazi

3. Mera chalni tha badan
Teer the misle kafan
Khon se rangeen tha ban
bhai bekas tha behen
Gurz tha ser pe lga
gush Mai tha bhai Tera
Tera shiqwa hai bjaa
yun na aaya ghazi.

4. Jung Mai ker na ska
hukme Shabbir jo tha
Tha sakina ke liye
dum bhi honto pe ruka
Mashq zakhmi jo hui
ruk gyi sanse meri
Phir qadam uth na ska
yun na aaya Ghazi.

5. Jab Hua thanda Alam
Amma zehra ki qasam
Kis trah tujse kahu
kaise nikla Mera dum
Vo Teri aahon fughan
Jalte khaimo ka dhuwan
Sharm ne maar diya
yun na aaya ghazi.

6. Jab Mai ghode se Gira
Aayi Amma ki sada
Ay shenshahe wafa
aa meri God Mai aa
Rab ne bheja tha jinhe
dekhta kaise unhe
Khun tha ankhon Mai jma
yun na aaya ghazi.

7. Ye to achcha hi Hua
aankh Mai teer laga
Yun rasan basta tujhe
dekhta kaise bhala
Mooh Dikha skkta na tha
ye alamdare wafa
Dil Mera doob gya
yun na aaya ghazi.

8. Tune jo zulm sahey
kis trah bhai kahe
Noke neza pe bhi Mai
band aankhen tha kiye
Shaam tak sath gya
tere pathther jo lga
Mai bhi neze se Gira
yun na aaya ghazi.

9. Bhai ki tooti kamar
Dekhe hashim ka qamar.
Tere ghazi ka Alam
Ho gya khoon Mai tar
Pyase bachchon ke liye
Pani Lana tha mujhe
Wada Pura na Hua
yun na aaya ghazi.

9. Roya rehan kalam
krke ye baat raqam
Khoon Mai doob gya
Mere ghazi ka alam
Ser jo zakhmi tha Mera
Ankh Mai khon tha bhara
Aa gyi mujhko ko qaza
yun na aaya ghazi

⚫Social Media:-
Subscribe : https://goo.gl/mf9Pi4
Want to chat? Hit me up on social media!
Instagram: Instagram: AzadariChittora
Facebook: Facebook: AzadariChittora

همه توضیحات ...